Album: Gulshan Ki Faqat
Music: Jagjit Singh, Chitra Singh
Lyrics: Sabab Afghani
Label: Tips Industries Ltd
Released: 1998-10-09
Duration: 06:31
Downloads: 114789
Gulshan Ki Faqat Phoolon Se Nahin Kaaton Se Bhi
Zeenat Hoti Hai, Jeene Ke Liye Is Duniya Mein
Gham Ki Bhi Zaroorat Hoti Hai. Ae Waaiz-e-naadan Karta
Hai Tu Ek Qayamat Ka Charcha, Yahan Roz Nigahen
Milti Hain Yahan Roz Qayamat Hoti Hai. Wo Pursish-e-gham
Ko Ayae Hain Kuch Keh Na Sakoon Chup Reh
Na Sakoon, Khaamosh Rahoon To Mushkil Hai Keh Doon
To Shikaayat Hoti Hai. Karna Hi Padega Jabt-e-alam Peene
Hi Padenge Ye Aansoo, Fariyaad-o-fugaan Se Aey Naadaan Tauheen-e-mohabbat
Hoti Hai. Jo Aake Ruke Daaman Pe 'Saba' Wo
Ashq Nahin Hai Paani Hai, Jo Ashq Na Chhalke
Aankhon Se Us Ashq Ki Keemat Hoti Hai. AnurAAg
Sharma