Album: Mahabharat
Music: Pooja, 3S Studio
Lyrics: 3S Studio
Label: 3S Studio
Released: 2021-06-17
Duration: 02:39
Downloads: 258046
Mahabharat Utpatti ′Jay' Namak Mahakavya, Jise Hum Mahabharat
Ke Naam Se Bhi Jaante Hain; Ek Sacchi Ghatna
Hai Krishna Dvaipayan, Jinhein Hum Ved Vyas Ke Naam
Se Bhi Jaante Hain Ne Ghor Tapasya Aur Dhyaan
Se Puratan Vedon Ko Padha Unhein Samjha Aur Sab
Ko Samjaya Bhi Maanv Ki Bhalai Hetu Wo
Apne Vichaar Likhit Roop Mein Bhi Chhahte The Taaki
Sab Use Padh Aur Samajh Sakein Aur Is Kaam
Ke Liye Unhone Shri Brahma Se Madad Maangi
Wo Brahma Ji Ke Paas Gaye Aur Unse Kaha
'Pranam Brahmdev, Maine Ek Mahakavya Racha Hai Aur Ise
Likhne Ke Liye Mujhe Aapki Madad Chahiye' 'Shri Ganesh
Ki Aradhna Karo Is Kaam Ko Karne Mein Ve
Tumhari Madad Zaroor Karenge', Brahma Ji Bole Maharshi
Vyas Ne Shri Ganesh Ki Aradhna Aarambh Ki Unki
Aradhna Safal Hui Aur Shri Ganesh Ne Unki Baat
Maan Li Maharshi Vyas Ne Apni Amar Vaani Se
Shri Ganesh Ke Samaksha ′Jay' Namak Mahakavya Ka Kathan
Shur Kiya Aur Shri Ganesh Use Likhte Gaye
Mahakavya Khatm Hone Ke Baad Maharshi Vyas Ne Apne
Putron Aur Apne Shishyon Ko Charon Vedon Ke Saath
Mahabharat Bhi Padhaya Lekin Jab Tak Mahabharat Ki Vyakti
Rekhayein Is Prithvi Per Jeewit Thin Tab Tak Is
Mahakavya Ka Kathan Kisi Ke Saamne Nahi Kiya Gaya
Ek Din Maharshi Vyas Ke Putra Janamejay Ne
Sarpasatra Yagya Ka Aayojan Kiya Apne Sabhi Shishyon Ke
Saath Maharshi Vyas Wohan Padhare 'Kauravon Aur Pandavon Ke
Beeche Hue Sangharsh Ke Aap Sakshi Hain Un Saari
Ghatna'on Ko Main Aapse Sun′na Chahta Hoon', Unke Ek
Naye Shishya Ne Kaha Maharshi Vyas Ne Apne
Ek Shishya; Vaisampayan Ko Bulaya Aur Kaha 'Vaisampayan, ′Jay'
Namak Mahakavya Jo Tumne Mujhse Suna Tha, Uska Kathan
Karo' Aur Isi Prakar Vaisampaya Ne Pehli Baar ′Jay'
Namak Mahakavya Logon Ko Sunaya