Album: Yahan Main Ajnabi Hoon
Singer: Mohammed Rafi
Music: Kalyanji-Anandji
Lyrics: Anand Bakshi
Label: Saregama
Released: 1965-01-01
Duration: 05:24
Downloads: 537856
Kabhi Pehle Dekha Nahin Ye Samaan Ye Main Bhool
Se Aa Gaya Hoon Kahaan Yahaan Main Ajanabi
Hoon Main Jo Hoon , Bas Vo Hee Hoon
Yahaan Main Ajanabi Hoon Kahaan Shaam-o-sahar Ye, Kahaan
Din-raat Mere Bahut Rusavaa Hue Hain, Yahaan Jazbaat Mere
Naee Tahazeeb Hai Ye, Naya Hai Ye Zamaanaa Magar
Main Aadmi Hoon , Vahee Sadiyon Puraanaa Main Kya
Jaanoon Ye Baathen, Zaraa Insaaf Karnaa Meri Gustaakiyon Ko,
Khudaara Maaf Karnaa Yahaan Main Ajanabi Hoon Teri
Banhon Mein Dekhoon, Sanam Gairon Kee Baahen Main Laaounga
Kahaan Se, Bhalaa Aisee Nigaahen Ye Koyi Raqs Hoga,
Koyi Dastoor Hoga Muje Dastoor Aisa, Kahaan Manzur Hoga
Bhalaa Kaise Ye Mera, Lahoo Ho Jae Paani Main
Kaise Bhool Jaaoon, Main Hoon Hindustani Yahaan Main Ajanabi
Hoon Muje Bhee Hai Shikaayat, Tuje Bhee To
Gila Hai Yahi Shiqave Hamaari, Mohabbat Ka Sila Hain
Kabhi Magarib Se Mashriq, Milaa Hai Jo Milegaa Jahaan
Ka Phool Hai Jo, Vaheen Pe Vo Khilegaa Tere
Unche Mahal Mein, Nahin Mera Guzaaraa Muje Yaad Aa
Raha Hai, Vo Chhota Sa Shikara Yahaan Main Ajanabi
Hoon Main Jo Hoon , Bas Vo Hee Hoon
Yahaan Main Ajanabi Hoon