Lafz Kitne Hi Tere Pairon Se Lipte Honge Tune Jab Aakhiri Khat Mera Jalaaya Hoga Tune Jab Phool Kitaabon Se Nikaale Honge Dene Wala Bhi Tujhe Yaad To Aaya Hoga Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha Mohabbat Bhi Zaroori Thi, Bichhadna Bhi Zaroori Tha Zaroori Tha Ki Hum Donon Tavaaf-e-aarzu Karte Magar Phir Aarzuuon Ka Bikharna Bhi Zaroori Tha Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha Bataao, Yaad Hai Tumko? Wo Jab Dil Ko Churaaya Tha Churaai Cheez Ko Tumne Khuda Ka Ghar Banaaya Tha Wo Jab Kahte The, Mera Naam Tum Tasbeeh Mein Padhte Ho Mohabbat Ki Namaazon Ko Qaza Karne Se Darte Ho Magar Ab Yaad Aata Hai, Wo Baatein Thiin, Mahz Baatein Kahiin Baaton Hi Baaton Mein Mukarna Bhi Zaroori Tha Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha Wahi Hain Sooratein Apni, Wahi Main Hoon, Wahi Tum Ho Magar Khoya Hua Hoon Main, Magar Tum Bhi Kahiin Gum Ho Mohabbat Mein Dagha Ki Thi, So Kaafir The, So Kaafir Hain Mili Hain Manzilein, Phir Bhi Musaafir The, Musaafir Hain Tere Dil Ke Nikaale Hum Kahaan Bhatkein, Kahaan Pahunche Magar Bhatke To Yaad Aaya, Bhatakna Bhi Zaroori Tha Mohabbat Bhi Zaroori Thi, Bichhadna Bhi Zaroori Tha Zaroori Tha Ki Hum Donon Tavaaf-e-aarzu Karte Magar Phir Aarzuuon Ka Bikharna Bhi Zaroori Tha Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha