Babul Pyaare, Sajna, Sakha Re Suno, Meri Maiya Bojh Nahi Main Kisi Ke Sar Ka Na Majhdhaar Mein Naiya Patwaar Banungi Lehron Se Ladungi Are, Mujhe Kya Bechega Rupaiya Ho, Are, Mujhe Kya Bechega Rupaiya, Ho, Ho, Ho Kal Baba Ki Ungli Ko Thaame Chali Thi Kal Baba Ki Laathi Bhi Ban Jaaungi Amma, Tere Gharaunde Ki Chidiya Hoon Main Dana Lekar He Wapas Ghar Aaungi Jiski Fitrat Mein Hairat Samayi Nahi Jisko Daulat Se Zyada Main Bhayi Nahi Aise Saajan Ki Mujhko Zaroorat Nahi 'Na' Kehne Ka, Sun Lo, Muhurat Yahi Akeli Chalungi Qismat Se Milungi Are, Mujhe Kya Bechega Rupaiya Ho, Are, Mujhe Kya Bechega Rupaiya, Ho, Ho, Ho Dil Se Dil Ke Taar To Jude Nahi Do Rasmon Pe Daulat Ye Kaahe Bahe? Hum To Pyaar Ki Khwaahish Mein Rishte Bune Wo Rishton Mein Laalach Hum Kaahe Sahe? Kya Shadi Ke Aage Zindagi He Nahi? Jo Shadi Hisaabon Ki Kewal Hai Bahi Aisi Shadi Ki Mujhko Zaroorat Nahi 'Na' Kehne Ka, Sun Lo, Muhurat Yahi Subah Si Khilungi Ratiya Si Dharungi Are, Mujhe Kya Bechega Rupaiya Ho, Are, Mujhe Kya Bechega Rupaiya, Ho Babul Pyaare, Sajna, Sakha Re Suno, Meri Maiya Bojh Nahi Main Kisi Ke Sar Ka Na Majhdhaar Mein Naiya Patwaar Banungi Lehron Se Ladungi Are, Mujhe Kya Bechega Rupaiya Ho, Are, Mujhe Kya Bechega Rupaiya, Ho, Ho, Ho