Aarambh Hai Prachand, Bole Mastakon Ke Jhund 'Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhaar Do' Aarambh Hai Prachand, Bole Mastakon Ke Jhund 'Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhaar Do' Aan, Baan, Shaan Ya Ki Jaan Ka Ho Daan Aaj Ek Dhanush Ke Baan Pe Utaar Do Aarambh Hai Prachand, Bole Mastakon Ke Jhund 'Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhaar Do' Aan, Baan, Shaan Ya Ki Jaan Ka Ho Daan Aaj Ek Dhanush Ke Baan Pe Utaar Do Aarambh Hai Prachand... Man Kare So Praan De, Jo Man Kare So Praan Le Wahi To Ek Sarv Shaktimaan Hai Man Kare So Praan De, Jo Man Kare So Praan Le Wahi To Ek Sarv Shaktimaan Hai Vishv Ki Pukaar Hai, Ye Bhagavat Ka Saar Hai Ki Yud′dh Hi To Veer Ka Pramaan Hai Kauravon Ki Bheed Ho Ya Pandavon Ka Need Ho Jo Lad Saka Hai Woh Hi To Mahaan Hai Jeet Ki Hawas Nahi, Kisi Pe Koi Vash Nahi Kya Zindagi Hai, Thokaron Pe Maar Do Maut Ant Hai Nahi To Maut Se Bhi Kyun Darein? Ye Jaake Aasmaan Mein Dahaad Do Aarambh Hai Prachand, Bole Mastakon Ke Jhund 'Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhaar Do' Aan, Baan, Shaan Ya Ki Jaan Ka Ho Daan Aaj Ek Dhanush Ke Baan Pe Utaar Do Aarambh Hai Prachand... Ho Daya Ka Bhaav, Ya Ki Shaurya Ka Chunaav Ya Ki Haar Ka Wo Ghaav, Tum Ye Soch Lo Ho Daya Ka Bhaav, Ya Ki Shaurya Ka Chunaav Ya Ki Haar Ka Wo Ghaav, Tum Ye Soch Lo Ya Ki Poore Bhaal Par Jala Rahe Vijay Ka Laal Laal Ye Gulaal, Tum Ye Soch Lo Rang Kesari Ho, Ya Mridang Kesari Ho Ya Ki Kesari Ho Taal, Tum Ye Soch Lo Jis Kavi Ki Kalpana Mein Zindagi Ho Prem Geet Us Kavi Ko Aaj Tum Nakaar Do Bheegti Nason Mein Aaj, Phoolti Ragon Mein Aaj Aag Ki Lapat Ka Tum Baghaar Do Aarambh Hai Prachand, Bole Mastakon Ke Jhund 'Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhaar Do' Aan, Baan, Shaan Ya Ki Jaan Ka Ho Daan Aaj Ek Dhanush Ke Baan Pe Utaar Do Aarambh Hai Prachand... Aarambh Hai Prachand... Aarambh Hai Prachand...