Tere Jaane Ka Gham Aur Na Aane Ka Gham Phir Zamane Ka Gham, Kya Karein? Raah Dekhe Nazar Raat-bhar Jaag Kar Par Teri Toh Khabar Na Mile Bahut Aayi-gayi Yaadein Magar Iss Baar Tum Hi Aana Iraade Phir Se Jaane Ke Nahin Laana, Tum Hi Aana Meri Dehleez Se Hokar Bahaarein Jab Guzarti Hain Yahaan Kya Dhoop, Kya Saawan Hawaayein Bhi Barasti Hain Humein Poochho, 'Kya Hota Hai Bina Dil Ke Jiye Jaana' Bahut Aayi-gayi Yaadein Magar Iss Baar Tum Hi Aana Koi Toh Raah Woh Hogi Jo Mere Ghar Ko Aati Hai Karo Peechha Sadaaon Ka Suno Kya Kehna Chahti Hai Tum Aaoge Mujhe Milne Khabar Yeh Bhi Tum Hi Laana Bahut Aayi-gayi Yaadein Magar Iss Baar Tum Hi Aana Marjaavaan Marjaavaan