Album: Breathless
Singer: Shankar Mahadevan
Music: Shankar Mahadevan
Lyrics: Javed Akhtar
Label: Saregama
Released: 1998-10-27
Duration: 02:58
Downloads: 2975323
Main Hoon Aur Khoye Huye Pyaar Ki Yaadein Hain
Main Hoon Aur Khoye Huye Pyaar Ki Yaadein Hain
Main Hoon Aur Khoye Huye Pyaar Ki Yaadein Hain
Ab Jo Mere Din Aur Ab Jo Meri
Raatein Hain Unmein Sirf Aansoo Hain, Unmein Sirf Dard
Ki, Ranj Ki Baatein Hain Aur Fariyaadein Hain Mera
Ab Koi Nahi Main Hoon Aur Khoye Huye
Pyaar Ki Yaadein Hain Doob Gaya Hai Dil
Gham Ke Andhere Mein Meri Saari Duniya Hai Dard
Ke Ghere Mein Mere Saare Geet Dhale Aahon Mein
Ban Ke Deewana Ab Yahaan-wahaan Phirta Hoon Thokar Khata
Hoon Un Raahon Mein Jahan Use Dekha Tha,
Jahan Use Chaaha Tha Jahan Main Hansa Tha Aur
Baad Mein Roya Tha Jahan Use Paaya Tha, Paake
Khoya Tha Jahan Kabhi Phoolon Ke Kaliyon Ke
Saaye The Rangeen-rangeen Mehki Rut Ne Har Ik Kadam
Par Raas Rachaye The Gulshan-gulshan Din Mein Ujale The
Jagmag-jagmag Noor Tha Raaton Mein Jhilmil-jhilmil Jahan Maine
Khwaabon Ki Dekhi Thi Manzil Jahan Meri Kashti Ne
Paaya Tha Saahil Jahan Maine Paayi Thi Palkon Ki
Chhaon Jahan Meri Baahon Mein Kal Thi Kisi
Ki Marmari Baahein Jahan Ek Chehre Se Hatati Nahi
Thi Meri Nigahein Jahan Kal Narmi Hi Narmi Thi
Pyaar Hi Pyaar Tha Baaton Mein Haath The Haathon
Mein Jahan Kal Gaaye The Prem Taraane Jahan
Kal Dekhe The Sapne Suhaane Kisi Ko Sunaaye The
Dil Ke Fasane Jahan Kal Khaai Thi Jeene Ki,
Marne Ki Qasme Todi Thi Duniya Ki Saari Rasme
Jahan Kal Barasa Tha Preet Ka Baadal Jahan
Maine Thaama Tha Koi Aanchal Jahan Pehli Baar Hua
Tha Main Paagal Ab Un Raahon Mein Koi
Nahi Hai Ab Hain Wo Raahein Veeraan-veeraan Dil Bhi
Hai Jaise Hairaan-hairaan Jaane Kahaan Gaya Mere Sapnon
Ka Mela Aise Hi Khyaalon Mein Khoya-khoya Ghoom Raha
Tha Main Kabse Akela Chamka Sitaare Jaisa Koi
Gagan Mein Goonji Sada Koi Mann Aangan Mein
Kisi Ne Pukara Mujhe, Mudh Ke Jo Dekha Maine
Mil Gaya Khoya Hua Dil Ka Sahara Mujhe Jise
Maine Chaha Tha Jise Maine Pooja Tha Laut Ke
Aaya Hai, Thoda Sharminda Hai, Thoda Ghabraaya Hai Zulf
Pareshan Hain, Kaanpate Hoth Aur Bheegi Hui Aankhein Hain
Dekh Raha Hai Mujhe Gumsum-gumsum Uski Nazar Jaise
Poochh Rahi Ho Itna Bata Do Kahin Khafa To
Nahin Tum Pyaar Jo Dekha Phir Meri Nigaahon Mein
Agale Hi Pal Tha Wo Meri In Baahon Mein
Bhul Gaya Mera Dil Jaise Har Gham Badal Gaya
Jaise Duniya Ka Mausam Jhoome Nazare Aur Jhoomi
Fizaaen Aur Jhoome Chaman Aur Jhoomi Havaayein Jaise Phir
Kehne Lagi Saari Dishaayein Kitni Hasin Hai, Kitni Suhaani
Hum Dono Ki Prem Kahaani Hum Dono Ki Prem
Kahaani Hum Dono Ki Prem Kahaani