Album: Martaba Naam Aur Izzat
Singer: Chhote Majid Shola
Music: Rajendra Prasanna
Lyrics: Abbas Dana Vadoudvi
Label: T-Series
Released: 1999-02-10
Duration: 11:28
Downloads: 62152
Martaba, Naam Martaba, Naam Aur Izzat Nahi Acchi Lagti
Martaba Naam Martaba, Naam Aur Izzat Nahi Acchi Lagti
Martaba, Naam Aur Izzat Nahi Acchi Lagti Martaba, Naam
Aur Izzat Nahi Acchi Lagti Kaun Hai Wo,
Kaun Hai Wo Jise Shohrat Nahi Acchi Lagti Kaun
Hai Wo Jise Shohrat Nahi Acchi Lagti Kaun Hai
Wo Humko Ye Aapki Aadat Nahi Acchi Lagti
Humko Ye Aapki Aadat Nahi Acchi Lagti Humko Ye
Aapki Aadat Nahi Acchi Lagti Pyar Ke Waqt
Pyar Ke Waqt Shikayat Nahi Acchi Lagti Pyar Ke
Waqt Shikayat Nahi Acchi Lagti Pyar Ke Waqt
Log Isko Bhi Adakari Samajh Lete Hai Log Isko
Bhi Adakari Samajh Lete Hai Log Isko Bhi Adakari
Samajh Lete Hai Had Se Zyada Had Se
Zyada Bhi Sharafat Nahi Acchi Lagti Had Se Jyada
Bhi Sharafat Nahi Acchi Lagti Had Se Jyada
Bhukh Lagti Hai To Jazbaat Bhi Mar Jate Hai
Bhukh Lagti Hai To Jazbaat Bhi Mar Jate Hai
Bhukh Lagti Hai To Jazbaat Bhi Mar Jate Hai
Pet Khali Pet Khali Ho To Chahat Nahi
Acchi Lagti Pet Khali Ho To Chahat Nahi Acchi
Lagti Pet Khali Maine Jinke Liye Mehnat Se
Kamayi Daulat Maine Jinke Liye Mehnat Se Kamayi Daulat
Maine Jinke Liye Mehnat Se Kamayi Daulat Wo Nahi
Hai Wo Nahi Hai To Ye Daulat Nahi
Acchi Lagti Wo Nahi Hai To Ye Daulat Nahi
Acchi Lagti Maine Jinke Liye Mehnat Se Kamayi Daulat
Hai Dardnak Ye Bhi Garibi Ki Daasta Ek Naujawan
Ke The Bahan, Bhai, Budhi Maa Na Meharba Tha
Waqt To Bigda Nasib Tha Ye Khandan Shahar Me
Sabse Garib Tha Ek Roz, Ek Roz Naujawan
Ko Aaya Yu Hi Khayal Pardes Jake Main Dikhau
Apna Kuch Kamal Phir Kar Liya Irada Ke Mehnat
Karunga Main Daulat Kamake, Maa Ki Bhi Khidmat Karunga
Main Ujde Huye Se Ghar Ko Main Gulshan Banaunga
Bhai Ko Raja, Bahan Ko Dulhan Banaunga Rozi
Ke Waaste, Wo Watan Se Nikal Gaya Jaise Ke
Ek Phul Chaman Se Nikal Gaya Maausiya Thi Aur
Andhereo Ka Tha Safar Lekin Naujawa Ki Ujalao Pe
Thi Khabar Himmat Se, Hausle Se Wo Manzil Pe
Aa Gaya Tuta Hua Safina Bhi Sahil Pe
Aa Gaya Pahle Uthaya Bojh Bhi Mazdur Ki Tarah
Aksar Hua Jalil Bhi Majbur Ki Tarah Phir Rafta
Rafta Kaam Nikalta Chala Gaya Dushvar Raasto Me Sambhalta
Chala Gaya Pahchan Badhte Badhte Use Naukri Mili
Zulmat Kade Me Jaise Nayi Roshni Mili Kuch Meharban
Uspe Jo Taqdeer Ho Gayi Khud Apne Karobar Ki
Tadbeer Ho Gayi Phir Usne Karobar Ko Aisa Jama
Liya Uski Talab Se Zyada Hi Paisa Kama Liya
Nikla Tha Ghar Se Jo Kabhi Muflis Ke
Haal Me Wo Shahzada Ban Gaya Bas Chand Saal
Me Jab Ban Gaya Amir To Aayi Watan
Ki Yaad Maa Ka Khayal Aaya To Bhai Bahan
Ki Yaad Jab Ghar Lautne Laga Wo Leke Maal-o-zar
Tab Usko Raaste Me Mili Ye Buri Khabar
Ke Uske, Ke Uske Watan Me Kuch Bure Halat
Ho Gaye Khud Uske Shahar Me Hi Fasanat Ho
Gaye Aaya Wo Shahar Me To The Manzar
Jale Huye Aaya Wo Shahar Me To The Manzar
Jale Huye Aankho Ne Uski Dekhe Kai Ghar Jale
Huye Aankho Me Ashq The To Jigar Ho Gaya
Tha Chaak Khud Uska Ghar Bhi Ho Gaya Sholo
Me Jalke Khak Maa Bhi, Bahan Bhi, Bhai
Bhi Sholo Me Jal Gaye Arman Uske Jitne The
Ashqo Me Dhal Gaye Jo Hath, Jo Hath
Usne Socha Tha Jannat Banayenge Kya Thi Khabar Azeezon
Ki Turbat Banayenge Kya Jane Kis Tarah Wo Ye
Sadma Bhi Sah Gaya Daulat Ko Daala Aag Me
Aur Roke Kah Gaya Maine Jinke Liye Mehnat
Se Kamayi Daulat Maine Jinke Liye Mehnat Se Kamayi
Daulat Maine Jinke Liye Mehnat Se Kamayi Daulat Wo
Nahi Hai Wo Nahi Hai To Ye Daulat
Nahi Acchi Lagti Wo Nahi Hai To Ye Daulat
Nahi Acchi Lagti Wo Nahi Hai To Ye Daulat
Nahi Acchi Lagti Wo Nahi Hai